Susral best urdu poetry and urdu quotes
Susral best urdu poetry and urdu quotes
Susral best urdu poetry and urdu quotes
Beteyan Allah ki rahmat ki nishani hoti hain ,Laikn hamary muashry mein abhi bhi kuch log aesy hain ju beteyon ko rahmat ki bajaye zahmat samjhty hain.jab ke beti hi hoti hai jis k waja sey ghar mein ronaq hoti hain .aur beti ko aik na aik din ghar chor ker jana parta hai aur usy aik naye mahol ka samna kerna parta hai.jahan khushyan usy qismat sey hi milti hain aur maa baap k hath mein agar hota tu wo apni betyon ki qismat apny hathun sey likhty .
Betyan jab susral chali jati hain tu in ko apni adat, apna rahan sehan, apni pasand aur na pasand badalni parti hai.ju ic k leye buhat mushqil hoti hai.Beti ko b chaheye k wo apni susral ko apna ghar samjhy aur susral walun ko bhi chaheye ko wo es larki ko apni beti samjhain ju apna ghar chor ker in k ghar aati hai.Betyan shadi k baad apna dukh taqlef apny tak hi mahdod rakhti hain na hi wo apna dukh darad apny maa baap ko bata sakti hain na hi susral ko ,,Allah tmam beteyon ka naseeb achy banaye jahan unhain khushyon k leye tarasna na pary..Ameen