02 26

Life Changing Quotes 9

Life Changing Quotes 9 is a collection of powerful, transformative quotations that hold the potential to reshape your outlook on life.

Life Changing Quotes 9 Motivational and Success

Covering a diverse array of topics, from personal growth to resilience and inspiration, these quotes offer invaluable wisdom. Explore these words to find motivation and insight that can lead to profound positive changes in your life.

[highlight color=”black”]36 Life changing Quotes (Motivational quotes 2019)[/highlight]

jab taq aap ke andar jazba hai junoon hai agay bherne ka tab taq aap ko kamyaab honay se koi nahi rokkk sakta aur aap –apne is jazbay se kuch bhi haasil kar satke hain jab aap –apne jazbay aur junoon ke sath manzil ki taraf ja rahay hain. to bas do baton ka hamesha khayaal rakhna hai aik mehnat se nahi ghabraana aur dosra sabar ka daman nahi chhorna kehte hain” hai jazba junoon to himmat nah haar, justojoo jo kere to chovay Asman “

2019 march

zindagi hamein aik baar millti hai aur hum is zindagi mein woh sab kuch kar satke hain jo hum soch satke hain apni soch ka daira barhayain aur apni manzil ki taraf udan bharain rastay mein Mushkilain zaroor ayen gi

magar un mushkilo se dar kar peechay mat hatna kabhi agar haar ka saamna bhi karna pary to kar lena kyun ke kuch na karne se bahtar hai kuch kar ke haar jana harnay se kam se kam tajurbah to miley ga jis ka faida aap ko (Life Changing Quotes 9)

apni anay wali zindagi mein zaroor ho ga kisi ne kya khoob kaha hai! !” ke kaam, kaam se ghalti, ghalti aqal, aqal se khayaal aur khayaal se nahi cheezen wujood mein aatin hain” aik aur shair jo mujhe bohat pasand hai. aap ki hosla afzai ke liye likh raha hon” ke manzil unhen ko millti hai jin ke sapnon mein jaan hoti hai | Life Changing Quotes 9

| pankhon se kuch nahi hota hoslon se udan hoti hai” aik aur baat jab bhi zindagi mein kuch karo to achi soch le kar karna kyunkay aik achi soch aap ko totnay nahi day gi aap ki soch hi aap ko banati hai ya begarti hain ab zehen mein yeh sawal paida hota hai ke achi soch kaisay paida ki jaye to mere piyary dostoo. Life Changing Quotes 9

[ads1]

achi soch ke liye aap ko apna mahol badalna pary ga jaissa aap ka mahol ho ga waysay he aap ban jatay ho yani yeh sab sobat ka asar hai aap ka mahol aap ki soch banata hai hamein roz marrah ki zindagi mein aisay log mlitay hain jo ziyada parhy likhay na honay ke bawajood bawaqar purkasihsh hasiyat ke maalik hotay hain aur baaz log aisay bhi mlitay hain jo bohat ziyada parhay likhay hotay hain magar un ka rehan sehan baat cheet ka dhang sab jahilon ki terha hota hai to baat saari mahol ki aati hai” kisi neh kya khoob kya hai, ke mujhe tum –apne doston se mla do phir mein tumhe bataon ga ke tum kya ho ” to mere doston apny doston ka intkhab soch samjh kr krna kiyoun keh asa na ho bury dost tumhara taroof ban jaein. Life Changing Quotes 9

[ads1]

Achy doston ki missal pani jaysi hai aur bury doston ki missal koyley jysy koyla agar bujha ho to hath kaly kar dy ga agar jel raha ho to hath jala dy ga jb k pani daag lgy hon tb bhi usy dho dy ga. Yani hum “ pani sy khoon saaf rk skty hain megar khoon sy khoon saaf nahin kr skty.

Life Changing Quotes 9

02 26

[highlight color=”black”]36 Life changing Quotes (Motivational quotes 2019)[/highlight]

  1. Peple ky paton jysy na bano jo waqat aane par sookh kar gir jaty hain , benena hai to mehindi ky paton jysy bano jo khud pees kar bhi dosron ki zindgi mein rang bhar dyty hain.

  2. Jo pani se nahay ga wo sarf lebas badal skta hai , Likan jo pasney se nahey ga wo tareekh badil skta hai

  3. Hamsha unehin ky kareeb mat rehey jo aap ko kush rkhty hain, bel keh kebhi un ky kareeb bhi jae jo Ap ky bina Kush nahin reh skty.

  4. Kuch khas risthy kuch khas waqat pr perkhy jaty hain, aulad burhapay mein,patni gareebi mein, dost musibat mein aur rishty dar zarorat mein.

  5. Acha dost safaid rang ki trha hota hai, safaid rang mein koi bhi rang milao to naya rang ban jata hai, megar dunia ky sary rang mila kr bhi safaid rang ni bna sktay,

  6. Log har moor par ruk ruk kr sambhlety kiyoun hain , itne darty hain to ghar sy niklety kiyoun hain

  7. Aik karwa such jis copy ko tamam mazmoono ko sanbhalne ki zamadari hoti hai, wo aksar raf copy ban jati hai, Khandan mein zamadar insan ka bhi yahi haal hota hai.

  8. Zindgi aik maidan e jang hai larna seekho, yeh koi sar aaye ya Araam khana nahin,

  9. Wo log Ap ki qeemat kebhi nahin samjh skty , jin logon ky lye aap hamesha dastyab rehty hain.

  10. Har aik ki suno aur har aik se seekho kiyoun keh, har koi sab kuch nahin janta , lakin har koi kuch na kuch zaroor janta hai.

  11. Jis ko tum se sachi muhabbat hogi wo tum ko fazool aur najaaiz kaamon se rokay ga.

  12. Kamm khaana tamam bemaaryon ka ilaaj hai aur shaqam seri saari bemaari ki jar hai.

  13. Khamoshi ghusay ka behtareen ilaaj hai.

  14. Apna bojh doosron per na daalo khwa kam ho ya zayada.

  15. Zubaan durust ho jaye to dil bhi durust ho jaata hai.

  16. Tumara raaz tmari qaidi hai lekun ifhsaan keh baad tum iss kah qaidi ban jaoge

  17. Sab se nadaan shaqs wo hai…jo choti cheez ki khaatir bari cheez kho deta hai.

  18. Udaas ankhon main kamiabi k diye jalao kiun ke kamiabi ankhon main khushion ke jugnu bhar deti hai.

  19. Woh jis ne kabhi piyaar nahi kiya peda hi nahi hoa.

  20. Suchi mohabat ka rasta kabhi humwar nahi hota.

  21. Zindagi ki sab se bari khushi mohabat hai.

  22. Suchi mohabat aik tofaa hay jo Khuda ne asman tale sirf insane ko diya hai.

  23. Mohabat jang ki tarhan hay, shuru karna asan lakin rokna bohot mushkil.

  24. Iss jaahan mein muhabbat kaash na hoti, to safar-e-zindagi main mithaas na hoti.

  25. Insaan ke andar se kamzor honay ki waja aksar usay uskay apno se milay dhokay hotay hain.

  26. Jhoot bolnay walay shakhs ki sab se bari saza yeh k uske sach pe bhi koi aitbaar nahi karta.

  27. Aitbaar aor Pyar, do aisy parinday hain k agar aik urr aye to dusra khud hi urr jata hai.

  28. Agar tum apne raaz khud nahi chhupa sakty to dusro ko bata ke un se raazdari ki ummeed mat rakho.

  29. Koi bhi shakhs us waqt tak apka sacha dost nahi ho sakta jab tak woh apki ghair-mojoodgi mein bhi apki izzat na kary.

  30. Apne dosto ko naseehat akele mein karo, aor unki tareef sab ke saamne.

  31. Lambi dosti chahty ho to logo ko apni haqeeqi shakhsiyat dikhao. Apki sachai hi apke rishty behtar banati hai.

  32. Jo shakhs hamesha tumhara bhala chahta ho, uska pareshaan hona tumhare liye fikr ki baat hai.

  33. Bewakoof dost bananay se se aqalmand dushman banana zyada behtar hai.

  34. Bura dost aag ki tarah hai. Agar khud jala to apko lapait me le lega, aor bujh bhi gya to apke hath kaalay kar dega.

  35. Jahan izzat, sachai aor khaloos nazar aye, wahan dosti ka hath barhao, warna tumhari tanhai tumhari behtreen dost hai.

  36. Agar dosti ka rishta na bana hota to insaan kabhi na karta k ajnabi log apno se bhi zyada pyary ho sakty hain.

 

Similar Posts