Insaniyat 21 best life changing urdu quotes
Insaniyat 21 best urdu quotes
Insan barhty ja rahy hain,aur insaneyat khatam hoti ja rahi hai..
Dosarun ki sahi baat ko manna ,un ko ahmeyat dena ,un ko tasleem karna muhabat hai,ye wo muhabat nahi,ju aksar marad aurat tak mahdod hai,balk ye wo muhabat hai..jesy hum insaneyat kahty hain..
Zindagi mein insan ko aik adat zaror sikh leni chaheye..ju cheaz hath sey nikal jaye,usy bhol jany ki aadat ,ye aadat buhat c taklefun sey bachati hai..
Kesi bhi insan ko uc ki zaat,aur libas ki waja sey..Haqer mat samjhna keyon k tumhain deny wala,aur usy deny wala aik khuda hai..
2 chehry insan ko kbhi nahi bholty,aik mushqil mein sath deny wala,dosra mushqil,,mein sath chorny wala…
Mat karna kabhi ,gharor apny aap per aye insan,rab ney tery jesy na jany kitny mati sey bana ker,mati mein mila deye..
Her aadmi apna darakht alag alag ugana chahta hai,yahi waja hai k insaneyat ka bagh tyar nahi hota..
Insan tu her jaga hoty hain magar,insaneyat kahi kahi janam leti hai..
Kabhi kabhi marny k leye zahar ki zarorat nahi parti,hasas insano ko tu raweye hi maar deti hain,aur ye moat bari azeyat naak moat hoti hai…
Agar tum azmat ki balndeyo ko chona chahty ho,tu apna apny dil mein insaneyat k leye,nafrat ki bajaye muhabat aabad karo..
Kesi insan ki soch parhni hu tu,ic sey mashwara ker lain,,ic k mashwary sey ic ka insaf,badi aur ilam sab jaan lain gay,,,
Hamain jis sabaq ko parhny ki zarorat sab sey zayda hai…wo insaneyat ka sabaq hai..
Insan gheron sey mili izat,aur apno sey mili zilat kabhi nahi bholta..
Insaan jitni muhabat aeb chupany mein karta hai,ic sey bhi kam mehnat sey aeb dor keye ja sakty hain..
Insan ki insaneyet tab khatam hu jati hai,jab esy dosarun k dukho per hansi aany lagy..
Khushi insan ko itna nahi sikhati,jitna gham sikhaty hain..
Baaz dukh bhi gongy insan ki tarah hoty hain,ju na bataye ja sakty hain,na koi samjh sakta hai,bas chup chap paly jaty hain..
Insan ki fitrat hai,,,wo kesi bhi chez ki dobar qadar nahi karta,milny sey pahly aur kho deny k baad…
Wo bulandi kis kaam ki,jis per insan charhy,,,aur insaneyat sey gir jaye..
Zindagi mein kabhi kesi achy insan ko talash mat karna,khud achy hu jaye ho sakta hai….Apky ic kaam sey kesi aur ki talash khatam hu jaye…
Insaniyat 21 best urdu quotes