Gunaah 20 best urdu quotes with images
Gunaah 20 best urdu quotes

Toba ka kerna khush bakhti ki alamat hai,keyon k ju apny gunah ko gunah na samjhy,wo bad qismat hai..

Agar tu gunah per aamada hai,tu esa muqam talash ker,jahan khuda na ho..

Agar ruh ki awaz hoti tu,her gunah k baad ,hun ko apny andar sey,rony ki awaz aati..

Jab gunah k kamon mein ,dil lagna shoro hu jaye,tu ye ic baat ki dalel hai,ke tumhara rab tum sey naraz hai..

Insan ki nazar agar ,sawab aur gunah k tarazo per rahy,tu wo khud hi jhuk jati hai..
Gunaah 20 best urdu quotes

Aik bazurag farmaty hain,khuda ka shukr hai gunah mein badbo nahi,warna hamary itny gunahhain k,jin ki badbo ki waja sey,hamary pas koi nahi aata..

Sab sey zayada jahil wo hai,ju gunah sey bakhabr hoty howy bhi gunah kery..

Iman jab insan k andar apni jarain gaar leta hai,tu gunah kerna mushqil aur neeki karna asan hu jata hai…

Toba ki umed pur hu chuky,buhat gunah ya rab muhlat mil rahi hai,tofeq bhi ata ker..

Baaz gunah ic lambi sarak ki ,manind hoty hain,jin pe koi speed breakr nahi hota,in per chalna shoro karo,tu bas phir insan chalta hi jata hai,aur jab tak koi bara accident ,na hu jaye ,wo ruk nahi pata…

Wo gunah jis ka tumhain ranj hu,khudak nazdeq uc neki sey bahtr hai,jis sey tum mein gharor peda hu jaye,,

Wo gunah gaar ki dwa,bhi sunta hai aye insaan ,hath mayos nahi hun gay,utha ker tu dekh..

Roz gunah kerta hun,wo roz chupa deta hai,mein majbor apni adat sey,wo mashor apni rahmat sey..

Gunah zahr ki manind hain,ju kam hun ya zayada,her surat mein nuqsan dah hain…

Gunah per nadamt ,gunah ko mita deti hai,aur neki per gharor,neki ko tabah ker deta hai…

Apny hath sey ki hoi neki,aur dosry sey sarzad hony waly,gunah ka zikar kabhi na kero..keyon k apni neki chupana,tumhari soch ka imtihan hai,aur dosry k gunah chupana tumhary qirdar ka imtihan hai..

Jab bhi zindagi,rulaye samjhna,gunah maaf hu gaye,aur jab zindagi hansay tu samjhna,dua qabol hu gai…

Gunaho ki jaan chor dain,pareshanian Aap ki jaan chor dain gi..

Gunah chahy,jitna bhi khubsurat hu,uc sey dor rahna hi bahtr hai..
