Dar best urdu quotes and Poetry (Fear quotes)
Dar best urdu quotes and Poetry (Fear quotes)
Dar Urdu poetry and Quotes
Dar aur khuf her insaan k andar mujud hota hai,Aur insaan ko pata bhi nahi chalta k us ka dar usy andar hi andar khatam ker raha hai .kesi insan k dar hota hai k pata nahi wo kamyab ho paye ga k nahi aur wo nakami k Dar ki waja sey mehnat kerna chor deta hai ,kesi insaan ko oc ki Dolat Shuhrat chen jany ka dar hota hai aur wo dar mein ye bhul jata hai k ye sab chezen Allah ki taraf sey di gai hain Agar ye chezen chen bhi le jati hain tu ic mein koi na koi bhalaai bhi zaroor ho gi…
Dar sirf Allah ki zaat ka hona chaheye ,Kuch insano ko apny jesy insano ka hi dar hota hai keyon k ic dor ka her shakhas pahly apny mufad k baary mein sochta hain aur baad mein dosrun k aur ye baat bhul jata hai k Nuqsan aur Mufaad Allah k hath mein hai aur wo kesi bhi waqat kesi ki bhi qismat badal sakta hai …Agar hamain darna hai tu Allah ki zaat sey darna chaheye aur jab hum uc ki zaat sey darain gay tu rasty Assan hoty jaye gay,Aur hum dunya k dar aur khuf sey Aazaad hoty jayen gay khwah wo dar mufalsi ka ho,na kami ka ho,karobar k ho,rizaq ka ho..Laikn shart ye hai k hamian apna kaam imandari sey karna ho ga..
Dar best urdu quotes and Poetry (Fear quotes)[box type=”shadow” align=”” class=”” width=””]Ye jaan lo dar hota hi nahi ye tu bas tumhari soch mein kahin hota hai Khatra aik haqeqat hai laikn dar aik khyal [/box]
[box type=”shadow” align=”” class=”” width=””]Kamyab log apny faislon sey dunya badal dety hain aur kamzor log dunya k dar sey apny faisly badal leaty hain [/box]
[box type=”shadow” align=”” class=”” width=””]Mujhy sanpun sey dar nahi lagta laikn insaan sey darta hun keyon k sanp apny difa k leye dasta hai aur insaan apny mufaad k leye [/box]
[box type=”shadow” align=”” class=”” width=””]2 cheazen buhat aham hain Allah k DARR aur Allah ka DAR…Jis shakhas ko ye 2 naimatain naseeb hu gaen samjhu wo kamyab ho gaya,,,[/box]
[box type=”shadow” align=”” class=”” width=””]Dar lagta hain un logun sey jin k dil mein bhi dimagh hota hai [/box]
[ads4]
[box type=”shadow” align=”” class=”” width=””]Dar aur Khuf insaan ki kesi na kesi ka muhtaj bana dety hain ic sey bahter ye nahi keh ic Rab sey daro jis ney dar aur khuf peda kia ….[/box]
[box type=”shadow” align=”” class=”” width=””]Tanhayon ka aik alag hi maza hai ic mein dar nahi hota kesi k chor jany ka [/box]
[box type=”shadow” align=”” class=”” width=””]Dar hai akela dekh ker gher na lain mujhy meri sadgi sey munkir ,tery khush mizaj jumly ….[/box]
[box type=”shadow” align=”” class=”” width=””]Aurat dunya ki wo wahid makhloq hai jesy muhabat bhi karo tu wo dar jaati hai[/box]