Urdu Quotes 26
| |

Best Powerful Urdu Quotes

Best powerful quotes

Best Powerful Urdu Quotes, Is Post mein behtreen Quotations ko Images ky sath upload kia hai.

Best Powerful Urdu Quotes

وقت اور قسمت پر کبھی گھمنڈ مت کرنا کیونکہ صبح اُن کی بھی ہوتی ہے جن کے دن خراب ہوتے ہیں

waqat aur qasmat par kabhi ghamand mat karna kiyoun
Subha un ki bhi Hoti hai jin kay din Kharab hotay hain

Lehja Badil Layna

لہجہ بدل لیجئے خدارا اس سے پہلے کہ سامنے والا بدل جائے

Lahja badal le jeye ic say pahly keh Samny wala badal jaye ..

Bura waqat

بُرے وقت میں کسی سے کوئی اُمید مت رکھو کیوں کہ سمجھوتے شیر کو بھی کتا بنا دیتے ہیں

Bury Waqt mein kesi say koi umed mat rakho kyon k samjhoty Shair ko bhi Kuta bana dety hain

Best Powerful Urdu Quotes

سب کو اُڑ جانا ہے ایک دن تصویر میں رنگوں کی طرح ہم وقت کی ٹہنی پر بیٹھے ہیں ان پرندوں کی طرح

Sab ko ur jana hai aik din tasweer main Rangon ki trah ,Hum waqat ki Tahni par bethay hain in parendun ki tarah

Best Powerful Urdu Quotes

پہنچان کہاں ہو پاتی ہے اب انسانوں کی اب تو گھڑی کپڑے اور جوتے لوگوں کی اُوقات طے کرتے ہیں

Pahchan kahan ho pati hai ab insaan ki aab tu ghari kapry aur jooty logon ki Auqat tay karty hain

Urdu Quotes 6

زندگی میں ہم جو چاہتے ہیں وہ ہمیں آسانی سے نہیں ملتا لیکن زندگی کا سچ یہ ہے کہ ہم بھی وہی چاہتے ہیں جو آسان نہیں ہوتا

Zindagi main hum jo chahty hain wo hamain Aasani say nahi milta leikn zindagi ka Sach ye hai ke hum bhi wohi chahty hain jw Aasan nahi hota

Urdu Quotes 7

مسکرانے کے زمانے گزر گئے صاحب وقت دفنا گیا میرے شوق بھی میرے ذوق بھی

Muskarany k Zamany Guzar gaye waqat dfna geya ,Mery Zooq bhi mery Shoq bhi

Khud ko sab bahter samjhna

خود کو سب سے بہتر سے بہتر سمجھ لینا یہ ایک ایسی بیماری ہے جو انسان کو کسی قابل نہیں چھوڑتی

Khud ko sab sy bahtar sy bahtar smjh lena ye aik aesi bemari hai jo insaan ko kesi Qabil nahi chorti

Best Powerful Urdu Quotes

جب ہم اپنے آپ سے شدید جنگ لڑتےہوں تو پھر دوسروں سے لڑنے کی کیا ضرورت ہے

Jab hum apny Aap say shadeed jang lar rahy hun to dosarun say larny ki kya Zaroorat hai

Hosla

دنیا کے بازار میں زندگی کا سب سے قیمتی سکہ حوصلہ ہے

Dunya ke Bazar main Zndgi ka sab say qeemati Sika Hosla hai

Urdu Quotes 11

مشکلات کا پتھر تراشنے کے بعد جو ہیرا نکلتا ہے وہ کامیابی ہے

Mushkilat ka pathar trashny ke baad ju Heera nikalta hai wo kamyabi hai

Khud Gharz log

خود غرض لوگ رشتوں کو نبھاتے اور آزماتے زیادہ ہیں

Khud Gharz log Rishtun kw nbhaty kam aur Azmaty Zeyada hain

jin ki koi ezat nahi hoti

جن کی کوئی عزت نہیں ہوتی وہ دوسروں کو بے عزت کر کے فخر محسوس کرتے ہیں

jin ki koi ezat nahi hoti wo dosaron ko Be ezat kar ky fakhar mahsoos karty hain

Best Powerful Urdu Quotes

وہ سمجھتا ہے ہر شخص بدل جاتا ہے ،اُسے لگتا ہے زمانہ اُس جیسا ہے

Wo samjhta hai har shakas badal jata hai ,usy lgta hai zamana uc jesa hai

insaan moqa dekh kar rang badalta hai

گرگٹ ماحول دیکھ کر رنگ بدلتا ہے اور انسان موقع دیکھ کر

Girgat mahol dekh kar rang badalta hai aur ansaan Muqa dekh kar

Khud gharz log

کچھ لوگ اتنے خود غرض ہوتے ہیں کہ انہیں صرف اپنی فکر ہوتی ہے دوسروں کی زندگی تباہ کرتے ہوئے ذرا بھی نہیں سوچتے

Kuch log itny Khod gharz hoty hain inhain Siraf apni fikar hoti hai ,dosron ki zindagi tabah karty howy zara bhi nahi sochty

maafi

معافی مانگنے کے لئے ظرف ہونا چاہیئے کم ظرف لوگ کبھی معافی نہیں مانگتے

Maafi mangany ke leye Zaraf hona chahye kam Zaraf log kabhi maafi mangty

mutasir

میں نے انسانوں سے متاثر ہونا چھوڑ دیا ہے کیوں کہ یہ ویسے نہیں ہوتے جیسے نظر آتے ہیں

Main nay insano say mutasir hona chor dia hai ,keyon keh ye wesy nahi hoty jesy nazar aaty hain

insaan

انسان جب کچھ برا کرتا ہے تو آگے پیچھے،دائیں بائیں ہر طرف دیکھ لیتا ہے بس اوپر نہیں دیکھتا

Insaan jab kuch bura karta hai ,tu aagy pechy Dayen bayen har taraf dekh leta hai bas upar nahi dekhta

tanhai

میں ہوں دل ہے تنہائی ہے تم بھی ہوتے تو اچھا ہوتا

Main hun dil hai tanhai hai ,tum bhi hoty tu acha hota

yadain

یادیں وہ نہیں جو تنہائی میں آتی ہیں ،یادیں تو وہ ہیں جو بھیڑ میں بھی تنہا کر جاتی ہے

yadain wo nahi jo tanhai main Aati hain,yadain to wo hain jo bher main bhi tanha kar jati hain

mery kamry main

میرے کمرے میں کوئی بھی نہیں پھر بھی لگتا ہے ،میں تنہا چھوڑ آیا ہوں کوئی مہمان کمرے میں

Mery kamry main koi bhi nahi phir bhi lagta hai,main tanha choor Aya hun koi mahman kamry main

apni tanhai main

اپنی تنہائی میں،میں تنہا ہی اچھی ہوں مجھے ضرورت نہیں دو پل کے سہاروں کی

Apni tanhai main,main tanha hi achi hun mujhy Zarorat nahi du pal k saharun ki

tanhai main aik alag hi maza hai

تنہائی کا ایک الگ ہی مزا ہے،اس میں ڈر نہیں ہوتا کسی کے چھوڑ جانے کا

Tanhai ka aik alag hi maza hai ,ic main dar nahi hota kesi ky chor jaany ka

Bheer main sab log achy nahi hoty

بھیڑ میں سب لوگ اچھے نہیں ہوتے اور اچھے لوگوں کی بھیڑ کبھی نہیں ہوتی

bheer main sab log achy nahi hoty aur achy logo ki bheer kabhi nahi hoti

Similar Posts